Atanu aur Nilanjana… 8 saal ka lamba prem basant ka mausam paar karke… gharwalon ke khilaf jaake shaadi karke apna aashiyana basaaye the. Atanu ke jyotish mama ne kaha tha ke yeh shaadi ek saal bhi nahi tik payegi. Dono ki rashi aur nakshatraon ki sthiti mein teevra sangharsh hai.
10 mahine ke shaadi ke safar mein pehle do mahine madhur the. Dheere dheere anjaane dwand aur arthahin galatfahmiyan (shayad mann mein basa jyotish vidhan) unke prem ko khane lagi. Aaj dono ne court mein ek dusre ko mutual divorce ke file par sign kiya. Court ke gate par, alag-alag gantey ke bus ka intezar kar rahe the. Paas mein kahin ek swachchhata rakt daan shivir ho raha tha. Maike pe ek ke baad ek Rabindra sangeet baj rahe the… dono ke liye aaj wahi pyare gaane ajeeb lag rahe the.
Tabhi ek 80 saal ka boodha aadmi Nilanjana se bola – “Ma, do paise dogi? Biwi ko do din se kuch khilaya nahi… vishwas karo ma… mujhe bhook nahi lagti… lekin uski bhook mujhse sahi nahi jaati.”
Yeh sunke Atanu bola – “Aapka ghar kahan hai?”
Boodha bola – “Ghar Halishahar mein hai beta! Teen din pehle, beta aur bahu ne ghar se nikaal diya. Train pakad ke Kolkata aaya hoon. Agar koi kaam mil jaaye. Boodha aadmi samajh ke koi kaam nahi de raha… beta. Pocket mein jitne paise the sab khatam ho gaye. Do din se wahi ped ke neeche hi hoon. Dedo beta… kuch paise..? Zyada nahi, bas dus rupaye mil jaaye.”
Baat sunkar Nilanjana daud ke gayi aur kuch kachori aur tarkari kharidke wapas aayi. Saath mein boodhi ke liye ek naya paani ka bottle leke Atanu bhi wapas aaya.
Nilanjana aur Atanu thher ke dekh rahe the anmol prem ka antim prastaav… dono apne kaanpe haath se ek dusre ko khilane mein busy the. Ek duje ke aanchal se paseena poch raha tha, toh doosra ek dusre ko paani pila raha tha. Sadak ke kinaare ke bargad ke ped ke neeche jaise akal prem ka swarg utar aaya tha.
Atanu ne apne ek dost ke madad se ek vridhashram mein phone lagaya. Taxi bulake dono milke boodhe jode ko lekar vridhashram ke taraf nikal gaye. Atanu aur Nilanjana itne kaamon mein ulajh gaye ke bhool hi gaye ke abhi abhi unka divorce ho gaya hai. Aakhirkar wo log “Shesher Kheya” naamak vridhashram pohanche. Do boodhe ko wahan apni zimmedari mein sthapit karne ke baad jab wo log nikalne lage… tabhi boodha aadmi huste hue bola – “Bohot saalon tak is tarah se ek saath rehna… bohot khush rehna beta!! Bohot accha rehna maa…!!”
Vridhashram ke baahar bhi paas hi kahin blood donation camp chal raha tha… waise hi wahan bhi wahi Rabindra sangeet baj raha tha.
Atanu, Nilanjana se bola – “Batao, divorce ke baad agar biwi ko na chhodna chaahun toh phir se nayi shaadi karni padegi?”
Nilanjana – “Kanoon toh wahi kehta hai.”
Atanu – “Chalo, chalte hain?”
Nilanjana – “Kahan?”
Atanu – “Registry office!”
Rote hue Nilanjana ne Atanu ko gale laga liya… rote rote kaanpe hue gala se Atanu ke safed shirt ko pakad ke boli – “Ab ek mahina toh notice deke intezaar karna padega. Rahenge kahan?”
Atanu ne pyaar se Nilanjana ka chehra uthate hue kaha – “Apni biwi ke saath ek mahina live-in kar lenge. Kya…! Koi aitraaz toh nahi hai..?”
Nilanjana – “Aur tumhare jyotish mama?”
Atanu – “Arey chhodo, mama ne toh yeh nahi kaha ke meri do shaadi hai. Isliye woh vidhaan bhi nahi maanta.”
Atanu aur Nilanjana taxi bulake registry office ke liye chal pade. Taxi start hote hi blood donation camp se Shrikanto Acharya ka gaana sunai diya…
“Chiro sakha… he…
chhero… na… more… chhero… na…”